Friday, March 6, 2009

Uski yadon me doob jata hun,
khud ko tanha kabhi jo pata hun,
qatra qatra wajood se le kar,
khwahishon ko lahoo pilata hun,
log khushyan talash kartay hain,
me to gham bhi khareed leta hun,
aaj kal he mizaj-e-dil barham,
rona agar chahun to muskurata hun,
roz chahta hun bhool jaun usay,
roz ye baat bhool jata hun............